Jo Hain Mazlum Un Ko To TaDapta ChhoD Dete Hain

jo hain mazlum un ko to taDapta chhoD dete hain

ye kaisa shahr hai zalim ko zinda chhoD dete hain

ana ke sikke hote hain faqiron ki bhi jholi mein

jahan zillat mile us dar pe jaana chhoD dete hain

hua kaisa asar masum zehnon par ki bachchon ko

agar paise dikhao to khilauna chhoD dete hain

agar malum ho jae paDosi apna bhuka hai

to ghairat-mand hathon se niwala chhoD dete hain

mohazzab log bhi samjhe nahin qanun jangal ka

shikari sher bhi kawwon ka hissa chhoD dete hain

parindon ko bhi insan ki tarah hai fikr rozi ki

sahar hote hi apna aashiyana chhoD dete hain

tajjub kuchh nahin 'dana' jo bazar-e-siyasat mein

qalam bik jaen to sach baat likhna chhoD dete hain

(1427) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo Hain Mazlum Un Ko To TaDapta ChhoD Dete Hain In English By Famous Poet Abbas Dana. Jo Hain Mazlum Un Ko To TaDapta ChhoD Dete Hain is written by Abbas Dana. Read famous Poem Jo Hain Mazlum Un Ko To TaDapta ChhoD Dete Hain for youth and Student by Abbas Dana. Free Download Jo Hain Mazlum Un Ko To TaDapta ChhoD Dete Hain in PDF.