Koi Subut-e-jurm Jagah Par Nahin Mila

koi subut-e-jurm jagah par nahin mila

TuTe paDe the aaine patthar nahin mila

patthar ke jaisi be-hisi us ka nasib hai

wo qaum jis ko koi payambar nahin mila

jab tak wo jhuT kahta raha sar pe taj tha

sach kah diya to taj hi kya sar nahin mila

hum raat-bhar jalen bhi tumhein raushni bhi den

hum ko charagh jaisa muqaddar nahin mila

shahr-e-sitam bhi jashn-e-aman mat mana abhi

shayad sitamgaron ko tera ghar nahin mila

man bap ki duaon se baDh kar jahez mein

dulhan ko aur koi bhi zewar nahin mila

'dana' wo ab bhi aata hai tanhaiyon mein yaad

duniya ki bhiD mein jo bichhaD kar nahin mila

(1403) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Koi Subut-e-jurm Jagah Par Nahin Mila In English By Famous Poet Abbas Dana. Koi Subut-e-jurm Jagah Par Nahin Mila is written by Abbas Dana. Read famous Poem Koi Subut-e-jurm Jagah Par Nahin Mila for youth and Student by Abbas Dana. Free Download Koi Subut-e-jurm Jagah Par Nahin Mila in PDF.