Maut Ne Muskura Ke Puchha Hai

maut ne muskura ke puchha hai

zindagi ka mizaj kaisa hai

us ki aankhon mein meri ghazlen hain

meri ghazlon mein us ka chehra hai

us se puchho azab raston ka

jis ka sathi safar mein bichhDa hai

chandni sirf hai fareb-e-nazar

chand ke ghar mein bhi andhera hai

ishq mein bhi maza hai jine ka

gham uThane ka gar saliqa hai

chhoD zaKHmon pe tabsira karna

ab qalam se lahu Tapakta hai

raushni ki zaban mein 'dana'

wo charaghon se baat karta hai

(1843) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Maut Ne Muskura Ke Puchha Hai In English By Famous Poet Abbas Dana. Maut Ne Muskura Ke Puchha Hai is written by Abbas Dana. Read famous Poem Maut Ne Muskura Ke Puchha Hai for youth and Student by Abbas Dana. Free Download Maut Ne Muskura Ke Puchha Hai in PDF.