Ajab Sauda-e-wahshat Hai Dil-e-KHud-sar Mein Rahta Hai

ajab sauda-e-wahshat hai dil-e-KHud-sar mein rahta hai

ye kaisi chhab ka malik hai ye kaise ghar mein rahta hai

usi ke dam-qadam se hai jahan-e-dida-o-nazzara

kahin aankhon mein basta hai kahin manzar mein rahta hai

nihaal-e-KHushk mein ab tak wo sukha zard sa patta

barahna lagta hai lekin libas-e-zar mein rahta hai

meri aankhon se le kar tere chehre tak sitare hain

ki jo gardish mein aa jae usi mehwar mein rahta hai

main apne aks ko ram-KHurdagi se baz kya rakkhun

ghazal-e-aina-KHana kisi ke Dar mein rahta hai

mujhe to gor-e-girya mein sula dete hain ghar wale

magar ehsas-e-bedari mere bistar mein rahta hai

(1438) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ajab Sauda-e-wahshat Hai Dil-e-KHud-sar Mein Rahta Hai In English By Famous Poet Abbas Tabish. Ajab Sauda-e-wahshat Hai Dil-e-KHud-sar Mein Rahta Hai is written by Abbas Tabish. Read famous Poem Ajab Sauda-e-wahshat Hai Dil-e-KHud-sar Mein Rahta Hai for youth and Student by Abbas Tabish. Free Download Ajab Sauda-e-wahshat Hai Dil-e-KHud-sar Mein Rahta Hai in PDF.