Di Hai Wahshat To Ye Wahshat Hi Musalsal Ho Jae

di hai wahshat to ye wahshat hi musalsal ho jae

raqs karte hue atraf mein jangal ho jae

ai mere dasht-mizajo ye meri aankhen hain

in se rumal bhi chhu jae to baadal ho jae

chalta rahne do miyan silsila dildari ka

aashiqi din nahin hai ki mukammal ho jae

haalat-e-hijr mein jo raqs nahin kar sakta

us ke haq mein yahi behtar hai ki pagal ho jae

mera dil bhi kisi aaseb-zada ghar ki tarah

KHud-ba-KHud khulne lage KHud hi muqaffal ho jae

Dubti naw mein sab chiKH rahe hain 'tabish'

aur mujhe fikr ghazal meri mukammal ho jae

(3639) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Di Hai Wahshat To Ye Wahshat Hi Musalsal Ho Jae In English By Famous Poet Abbas Tabish. Di Hai Wahshat To Ye Wahshat Hi Musalsal Ho Jae is written by Abbas Tabish. Read famous Poem Di Hai Wahshat To Ye Wahshat Hi Musalsal Ho Jae for youth and Student by Abbas Tabish. Free Download Di Hai Wahshat To Ye Wahshat Hi Musalsal Ho Jae in PDF.