Pas-e-ghubar Madad Mangte Hain Pani Se

pas-e-ghubar madad mangte hain pani se

ye log tang hain miTTi ki hukmarani se

ye hath sukh ke jhaDne ko ho gae lekin

main dast-kash na hua teri mehrbani se

phir us ke baad phalon mein miThas aai nahin

shajar ne kaam liya tha ghalat-bayani se

kisi jazire pe shayad khula ye bagh koi

mahak gulab ki aati hai bahte pani se

main tere wasl ka lamha bacha sakun shayad

mera talluq-e-KHatir hai raegani se

nawah-e-shahr mein phaili hai maut ki KHushbu

magar ye log ki lagte hain jawedani se

tere visal ke mausam mein ustuwar hua

koi ajab sa talluq jahan-e-fani se

tu mil gaya hai to achchha hua wagarna dost

kise gharaz thi mohabbat mein kaamrani se

pahunch chuke hain mohabbat mein us jagah hum log

jahan yaqin nahin aata yaqin-dahani se

(1796) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Pas-e-ghubar Madad Mangte Hain Pani Se In English By Famous Poet Abbas Tabish. Pas-e-ghubar Madad Mangte Hain Pani Se is written by Abbas Tabish. Read famous Poem Pas-e-ghubar Madad Mangte Hain Pani Se for youth and Student by Abbas Tabish. Free Download Pas-e-ghubar Madad Mangte Hain Pani Se in PDF.