Raaten Guzarne Ko Teri Rahguzar Ke Sath

raaten guzarne ko teri rahguzar ke sath

ghar se nikal paDa hun main diwar-o-dar ke sath

dastak ne aisa hashr uThaya ki der tak

larzan raha hai jism bhi zanjir dar ke sath

kashkol thamte hain kaf-e-eatibar se

karte hain hum gadagari lekin hunar ke sath

ab kis tarah ye Tokari sar pe uThaun main

suraj paDa hua hai mere baam-o-dar ke sath

suraj usi tarah hai ye mahtab usi tarah

Dhalte rahe hain yar hi sham-o-sahar ke sath

yun hai meri uDan pe bhaari mera wajud

jaise zamin bandhi ho mere baal-o-par ke sath

'tabish' mujhe safar ki riwayat ka pas tha

so main bhi rah bana ke chala rahguzar ke sath

(1417) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Raaten Guzarne Ko Teri Rahguzar Ke Sath In English By Famous Poet Abbas Tabish. Raaten Guzarne Ko Teri Rahguzar Ke Sath is written by Abbas Tabish. Read famous Poem Raaten Guzarne Ko Teri Rahguzar Ke Sath for youth and Student by Abbas Tabish. Free Download Raaten Guzarne Ko Teri Rahguzar Ke Sath in PDF.