Ramz-gar Bhi Gaya Ramz-dan Bhi Gaya

ramz-gar bhi gaya ramz-dan bhi gaya

husn ke sath husn-e-bayan bhi gaya

sar se taron bhari sar-zamin bhi gai

panw se KHak ka aasman bhi gaya

phul hi phul the kunj-e-azar mein

tum wahan bhi na the main wahan bhi gaya

pahle miTTi uDi manzilon ki taraf

phir use DhunDne karwan bhi gaya

main akela na tha ku-ruswai mein

sath virana-e-jism-o-jaan bhi gaya

rang pasti ke phir bhi na ifsha hue

yun to patal tak aasman bhi gaya

ishq mein baam-o-dar bhi na pichhe rahe

sath apne makin ke makan bhi gaya

'tabish' apne basere ki jaanib chalo

is se kya tum ko suraj jahan bhi gaya

(1257) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ramz-gar Bhi Gaya Ramz-dan Bhi Gaya In English By Famous Poet Abbas Tabish. Ramz-gar Bhi Gaya Ramz-dan Bhi Gaya is written by Abbas Tabish. Read famous Poem Ramz-gar Bhi Gaya Ramz-dan Bhi Gaya for youth and Student by Abbas Tabish. Free Download Ramz-gar Bhi Gaya Ramz-dan Bhi Gaya in PDF.