Sans Ke Shor Ko Jhankar Na Samjha Jae

sans ke shor ko jhankar na samjha jae

hum ko andar se giraftar na samjha jae

us ko raste se haTane ka ye matlab to nahin

kisi diwar ko diwar na samjha jae

main kisi aur hawale se use dekhta hun

mujh ko duniya ka taraf-dar na samjha jae

ye zamin to hai kisi kaghzi kashti jaisi

baiTh jata hun agar bar na samjha jae

us ko aadat hai ghane peD mein so jaane ki

chand ko dida-e-bedar na samjha jae

apni baaton pe wo qaem nahin rahta 'tabish'

us ke inkar ko inkar na samjha jae

(1752) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sans Ke Shor Ko Jhankar Na Samjha Jae In English By Famous Poet Abbas Tabish. Sans Ke Shor Ko Jhankar Na Samjha Jae is written by Abbas Tabish. Read famous Poem Sans Ke Shor Ko Jhankar Na Samjha Jae for youth and Student by Abbas Tabish. Free Download Sans Ke Shor Ko Jhankar Na Samjha Jae in PDF.