Sans Ke Ham-rah Shoale Ki Lapak Aane Ko Hai

sans ke ham-rah shoale ki lapak aane ko hai

aisa lagta hai koi raushan mahak aane ko hai

phir pas-e-paspai mera hausla zinda hua

aasman se phir koi taza kumak aane ko hai

ek KHilqat hi nahin hai bad-gumani ka shikar

us ki jaanib se mere bhi dil mein shak aane ko hai

ek muddat se charagh-e-sard sa rakkha hun main

is tawaqqoa par ki aanchal ki bhaDak aane ko hai

ai safar ki raegani aayaton ke sath chal

phir wahi jangal wahi suni saDak aane ko hai

bed-e-majnun ho rahe hain tir kya talwar kya

mere dushman mein bhi ab shayad lachak aane ko hai

ab to is chhat par koi mah-e-shabana chahiye

saya-e-qamat fasil-e-sham tak aane ko hai

raste gum ho rahe hain dhund ki pahnai mein

sardiyon ki sham hai phir us ka chak aane ko hai

(1349) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sans Ke Ham-rah Shoale Ki Lapak Aane Ko Hai In English By Famous Poet Abbas Tabish. Sans Ke Ham-rah Shoale Ki Lapak Aane Ko Hai is written by Abbas Tabish. Read famous Poem Sans Ke Ham-rah Shoale Ki Lapak Aane Ko Hai for youth and Student by Abbas Tabish. Free Download Sans Ke Ham-rah Shoale Ki Lapak Aane Ko Hai in PDF.