Shajar Samajh Ke Mera Ehtiram Karte Hain

shajar samajh ke mera ehtiram karte hain

parinde raat ko mujh mein qayam karte hain

suno tum aaKHir-e-shab guftugu daraKHton ki

ye kam-kalam bhi kya kya kalam karte hain

kahan ki zindagi hum ko to sharm mar gai

ki teri chiz hai aur tere nam karte hain

hamein to is liye ja-e-namaz chahiye hai

ki hum wajud se bahar qayam karte hain

agar kabhi mujhe maujudgan se fursat ho

to raftagan meri ninden haram karte hain

lahu ke ghunT na pita to aur kya karta

wo kah rahe the tera intizam karte hain

hamein samaat-e-be-lafz ki ijazat hai

hamare sath parinde kalam karte hain

abhi to ghar mein na baiThen kaho buzurgon se

abhi to shahr ke bachche salam karte hain

(1389) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shajar Samajh Ke Mera Ehtiram Karte Hain In English By Famous Poet Abbas Tabish. Shajar Samajh Ke Mera Ehtiram Karte Hain is written by Abbas Tabish. Read famous Poem Shajar Samajh Ke Mera Ehtiram Karte Hain for youth and Student by Abbas Tabish. Free Download Shajar Samajh Ke Mera Ehtiram Karte Hain in PDF.