TuT Jaane Mein Khilaunon Ki Tarah Hota Hai

TuT jaane mein khilaunon ki tarah hota hai

aadmi ishq mein bachchon ki tarah hota hai

is liye mujh ko pasand aata hai sahra ka sukut

is ka nashsha teri baaton ki tarah hota hai

hum jise ishq mein dete hain KHuda ka mansab

pahle pahle hamein logon ki tarah hota hai

jis se banna ho talluq wahi zalim pahle

ghair hota hai na apnon ki tarah hota hai

chandni-raat mein saDkon pe qadam mat rakhna

shahr jage hue nagon ki tarah hota hai

bas yahi dekhne ko jagte hain shahr ke log

aasman kab teri aankhon ki tarah hota hai

us se kahna ki wo sawan mein na ghar se nikle

hafiza ishq ka sanpon ki tarah hota hai

us ki aankhon mein umaD aate hain aansu 'tabish'

wo juda chahne walon ki tarah hota hai

(1958) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

TuT Jaane Mein Khilaunon Ki Tarah Hota Hai In English By Famous Poet Abbas Tabish. TuT Jaane Mein Khilaunon Ki Tarah Hota Hai is written by Abbas Tabish. Read famous Poem TuT Jaane Mein Khilaunon Ki Tarah Hota Hai for youth and Student by Abbas Tabish. Free Download TuT Jaane Mein Khilaunon Ki Tarah Hota Hai in PDF.