Us Ka KHayal KHwab Ke Dar Se Nikal Gaya

us ka KHayal KHwab ke dar se nikal gaya

phir main bhi apne dida-e-tar se nikal gaya

palken bhi bah gain KHas-o-KHashak ki tarah

main apne sahilon ke asar se nikal gaya

tanhai se thi meri mulaqat aaKHiri

roya aur is ke baad main ghar se nikal gaya

jab sham-e-intizar uTha li munDer se

dast-e-hawa bhi halqa-e-dar se nikal gaya

raste mein aankh thi sag-e-mamur ki tarah

dil mein jo chor tha wo kidhar se nikal gaya

ab le le mujh ko apni hatheli ki oT mein

mera sitara burj-e-safar se nikal gaya

mere hi sath ghar mein nazar-band tha to phir

tera KHayal kaun se dar se nikal gaya

(1393) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Us Ka KHayal KHwab Ke Dar Se Nikal Gaya In English By Famous Poet Abbas Tabish. Us Ka KHayal KHwab Ke Dar Se Nikal Gaya is written by Abbas Tabish. Read famous Poem Us Ka KHayal KHwab Ke Dar Se Nikal Gaya for youth and Student by Abbas Tabish. Free Download Us Ka KHayal KHwab Ke Dar Se Nikal Gaya in PDF.