Wo Aane Wala Nahin Phir Bhi Aana Chahta Hai

wo aane wala nahin phir bhi aana chahta hai

magar wo koi munasib bahana chahta hai

ye zindagi hai ye to hai ye rozgar ke dukh

abhi bata de kahan aazmana chahta hai

ki jaise us se mulaqat phir nahin hogi

wo sari baaten ikaTThi batana chahta hai

main sun raha hun andhere mein aahaTen kaisi

ye kaun aaya hai aur kaun jaana chahta hai

use KHabar hai ki majnun ko ras hai jangal

wo mere ghar mein bhi paude lagana chahta hai

wo KHud-gharaz hai mohabbat ke bab mein 'tabish'

ki ek pal ke ewaz ek zamana chahta hai

(1762) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Aane Wala Nahin Phir Bhi Aana Chahta Hai In English By Famous Poet Abbas Tabish. Wo Aane Wala Nahin Phir Bhi Aana Chahta Hai is written by Abbas Tabish. Read famous Poem Wo Aane Wala Nahin Phir Bhi Aana Chahta Hai for youth and Student by Abbas Tabish. Free Download Wo Aane Wala Nahin Phir Bhi Aana Chahta Hai in PDF.