Manzar Shamshan Ho Gaya Hai

manzar shamshan ho gaya hai

dil qabristan ho gaya hai

ek sans ke baad dusri sans

jina bhugtan ho gaya hai

chhu aae hain hum yaqin ki sarhad

jis waqt guman ho gaya hai

sargoshiyon ki dhamak hai har-su

ghul kanon-kan ho gaya hai

wo lamha hun main ki ek zamana

mere dauran ho gaya hai

sau nok-palak palak-jhapak mein

uqda aasan ho gaya hai

manzil wo KHam-e-safar hai jis par

chori saman ho gaya hai

ek marhala-e-kashakash-e-fan

wajh-e-imkan ho gaya hai

kaghaz pe qalam zara jo phisla

izhaar-e-bayan ho gaya hai

paida hote hi aadmi ko

lahaq nisyan ho gaya hai

pili aankhon mein zard sapne

shab ko yarqan ho gaya hai

saude mein ghazal ke faeda 'saz'

kaisa nuqsan ho gaya hai

(930) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Manzar Shamshan Ho Gaya Hai In English By Famous Poet Abdul Ahad Saaz. Manzar Shamshan Ho Gaya Hai is written by Abdul Ahad Saaz. Read famous Poem Manzar Shamshan Ho Gaya Hai for youth and Student by Abdul Ahad Saaz. Free Download Manzar Shamshan Ho Gaya Hai in PDF.