Marne Ki PuKHta-KHayali Mein Jine Ki KHami Rahne Do

marne ki puKHta-KHayali mein jine ki KHami rahne do

ye istidlali tark karo bas istifhami rahne do

ye tez-rawi ye tursh-rui chalne ki nahin hai dur talak

shabnam-nazari shirin-suKHani aasuda-gami rahne do

sau dasht samundar chhano par aate raho qarya-e-dil tak bhi

bairuni hawa ke jhonkon mein ek mauj-e-maqami rahne do

ab tanz pe kyun majbur karo hum ghair mulawwis logon ko

fan pesh karo ye fahrist-e-asma-e-girami rahne do

raftar par itni dad na do manzil na meri chhino mujh se

az-rah-e-hunar mere hisse ki thoDi nakaami rahne do

jatlate phiro gar qad apna paimaish ki mohlat to na do

is qamat-e-baala ke sadqe ye zud-qayami rahne do

ab hum se pareshan-haalan ko kya amn-o-sukun ras aaega

yunhi bohrani chalne do sara hangami rahne do

ai 'saz' wagarna log tumhein Thahraenge sanpon ka maskan

is shahr-e-aks-gazida mein aaina-fami rahne do

(1022) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Marne Ki PuKHta-KHayali Mein Jine Ki KHami Rahne Do In English By Famous Poet Abdul Ahad Saaz. Marne Ki PuKHta-KHayali Mein Jine Ki KHami Rahne Do is written by Abdul Ahad Saaz. Read famous Poem Marne Ki PuKHta-KHayali Mein Jine Ki KHami Rahne Do for youth and Student by Abdul Ahad Saaz. Free Download Marne Ki PuKHta-KHayali Mein Jine Ki KHami Rahne Do in PDF.