Sawal Be-aman Ban Ke Rah Gae

sawal be-aman ban ke rah gae

jawab imtihan ban ke rah gae

had-e-nigah tak buland falsafe

gharon ke saeban ban ke rah gae

jo zehan, aagahi ki kar-gah the

KHayal ki dukan ban ke rah gae

bayaz par sambhal sake na tajrabe

phisal paDe bayan ban ke rah gae

kiran kiran yaqin jaise raste

dhuan dhuan guman ban ke rah gae

ziyaen banTte the, chand the kabhi

gahan laga to dan ban ke rah gae

mera wajud shahr shahr ho gaya

kahin kahin nishan 'ban' ke rah gae

kamar jawab de ke jhuk gai badan

sawaliya nishan ban ke rah gae

main fan ki saaton ko lab na de saka

nuqush be-zaban ban ke rah gae

nafas nafas talab talab the 'saz' hum

qadam qadam takan ban ke rah gae

(1374) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sawal Be-aman Ban Ke Rah Gae In English By Famous Poet Abdul Ahad Saaz. Sawal Be-aman Ban Ke Rah Gae is written by Abdul Ahad Saaz. Read famous Poem Sawal Be-aman Ban Ke Rah Gae for youth and Student by Abdul Ahad Saaz. Free Download Sawal Be-aman Ban Ke Rah Gae in PDF.