Sawal Ka Jawab Tha Jawab Ke Sawal Mein

sawal ka jawab tha jawab ke sawal mein

giraft-e-shor se chhuTe to KHamushi ke jal mein

bura ho aaine tera main kaun hun na khul saka

mujhi ko pesh kar diya gaya meri misal mein

baqa-talab thi zindagi shifa-talab tha zaKHm-e-dil

fana magar likhi gai hai bab-e-indimal mein

kahin sabaat hai nahin ye kaenat hai nahin

magar umid-e-did mein tasawwur-e-jamal mein

qadim se haTe to hum jadid mein ulajh gae

nikal ke gardish-e-falak se mausamon ke jal mein

(1238) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sawal Ka Jawab Tha Jawab Ke Sawal Mein In English By Famous Poet Abdul Ahad Saaz. Sawal Ka Jawab Tha Jawab Ke Sawal Mein is written by Abdul Ahad Saaz. Read famous Poem Sawal Ka Jawab Tha Jawab Ke Sawal Mein for youth and Student by Abdul Ahad Saaz. Free Download Sawal Ka Jawab Tha Jawab Ke Sawal Mein in PDF.