Soch Kar Bhi Kya Jaana Jaan Kar Bhi Kya Paya

soch kar bhi kya jaana jaan kar bhi kya paya

jab bhi aaina dekha KHud ko dusra paya

honT par diya rakhna dil-jalon ki shoKHi hai

warna is andhere mein kaun muskura paya

bol the diwanon ke jin se hosh walon ne

soch ke dhundlakon mein apna rasta paya

ehtimam dastak ka apni waza thi warna

hum ne dar rasai ka bar-ha khula paya

falsafon ke dhagon se khinch kar sira dil ka

wahm se haqiqat tak hum ne silsila paya

umr ya zamane ka khel hai bahane ka

sab ne majra dekha kis ne muddaa paya

shaeri talab apni shaeri ata us ki

hausle se kam manga zarf se siwa paya

'saz' jab khula hum par sher koi 'ghaalib' ka

hum ne goya baatin ka ek suragh sa paya

(1108) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Soch Kar Bhi Kya Jaana Jaan Kar Bhi Kya Paya In English By Famous Poet Abdul Ahad Saaz. Soch Kar Bhi Kya Jaana Jaan Kar Bhi Kya Paya is written by Abdul Ahad Saaz. Read famous Poem Soch Kar Bhi Kya Jaana Jaan Kar Bhi Kya Paya for youth and Student by Abdul Ahad Saaz. Free Download Soch Kar Bhi Kya Jaana Jaan Kar Bhi Kya Paya in PDF.