Tab-e-hassas Meri Khaar Hui Jati Hai

tab-e-hassas meri KHar hui jati hai

be-hisi ishrat-e-kirdar hui jati hai

ye KHamoshi ye ghulawaT ye bichhaDte hue rang

sham ek dard bhara pyar hui jati hai

aur barik kiye jata hun main mu-e-qalam

tez-tar sozan-e-izhaar hui jati hai

kuchh to sach bol ki dil se ye giran bojh haTe

zindagi jhuT ka tumar hui jati hai

jada-e-fan se guzarna bhi kashakash hai tamam

rah KHud rah ki diwar hui jati hai

soch ki dhup mein jal uThne ko ji chahta hai

apne lafzon se bhi ab aar hui jati hai

zist yun sham ke lamhon se guzarti hai kabhi

KHud-ba-KHud sharh-e-gham-e-yar hui jati hai

kam se kam phunk hi de bujhti hui rakh mein 'saz'

aaKHiri sans bhi be-kar hui jati hai

(1046) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tab-e-hassas Meri Khaar Hui Jati Hai In English By Famous Poet Abdul Ahad Saaz. Tab-e-hassas Meri Khaar Hui Jati Hai is written by Abdul Ahad Saaz. Read famous Poem Tab-e-hassas Meri Khaar Hui Jati Hai for youth and Student by Abdul Ahad Saaz. Free Download Tab-e-hassas Meri Khaar Hui Jati Hai in PDF.