Yun To Sau Tarah Ki Mushkil SuKHani Aae Hamein

yun to sau tarah ki mushkil suKHani aae hamein

par wo ek baat jo kuhni na abhi aae hamein

kaise toDen use jo TuT ke milti ho gale

lakh chaha ki riwayat-shikani aae hamein

har qadam is mutabaadil se bhari duniya mein

ras aae to bas ek teri kami aae hamein

pyas bujh jae zamin sabz ho manzar dhul jae

kaam kya kya na in aankhon ki teri aae hamein

dew-e-alfaz ke changul se chhuDane ke liye

aaKHir-e-shab koi mana ki pari aae hamein

phir hamein qatl kare shauq se ban pae agar

ek ghazal bhar to kisi shab koi ji aae hamein

'saz' ye shahr-nawardi mein bikharta hua din

simTe ek moD to yaad us ki gali aae hamein

(1148) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yun To Sau Tarah Ki Mushkil SuKHani Aae Hamein In English By Famous Poet Abdul Ahad Saaz. Yun To Sau Tarah Ki Mushkil SuKHani Aae Hamein is written by Abdul Ahad Saaz. Read famous Poem Yun To Sau Tarah Ki Mushkil SuKHani Aae Hamein for youth and Student by Abdul Ahad Saaz. Free Download Yun To Sau Tarah Ki Mushkil SuKHani Aae Hamein in PDF.