Zikr Humse Be-talab Ka Kya Talabgari Ke Din

zikr hum se be-talab ka kya talabgari ke din

tum hamein sochoge ek din KHud se be-zari ke din

munhamik masruf ek ek kaam nimTate hue

saf se raushan se ye chalne ki tayyari ke din

roz ek bujhti hui silan bhare kamre ki sham

khiDkiyon mein roz murjhate ye bimari ke din

nam nashili saaton ki sard zahrili si raat

KHwab hote ja rahe hon jaise bedari ke din

hafize ki sust-rau lahron mein halchal kya hui

jag uTThe dhaDkanon ki tez-raftari ke din

zehan ke sahra mein uThta ek bagula sa kabhi

gahe gahe kar-amad se ye bekari ke din

dam-ba-dam tahlil sa hota hua manzar ka bojh

sahl se hote hue palkon pe dushwari ke din

umr ke bazar ki had par nawadir ki dukan

kuchh parakhte dekhte chunte KHaridari ke din

rah gai kaghaz pe khinch kar lafz se aari lakir

'saz' shayad bhar gae hain ab mere qari ke din

(1309) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zikr Humse Be-talab Ka Kya Talabgari Ke Din In English By Famous Poet Abdul Ahad Saaz. Zikr Humse Be-talab Ka Kya Talabgari Ke Din is written by Abdul Ahad Saaz. Read famous Poem Zikr Humse Be-talab Ka Kya Talabgari Ke Din for youth and Student by Abdul Ahad Saaz. Free Download Zikr Humse Be-talab Ka Kya Talabgari Ke Din in PDF.