Dil-dahi

sham ki zau

har taraf sahil pe halka sa andhera abr ka

dur ufuq par ek udasi ka muhit

Dubi Dubi mahw si namnak aanhken

dard-e-furqat se hazin roya hua dil

aur samundar

narm lahron ke mulaem hath se

tifl ko de raha hai haule haule thapkiyan

(1033) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil-dahi In English By Famous Poet Abdul Ahad Saaz. Dil-dahi is written by Abdul Ahad Saaz. Read famous Poem Dil-dahi for youth and Student by Abdul Ahad Saaz. Free Download Dil-dahi in PDF.