Fasad Ke Baad

fasad-e-shahr tham gaya

faza mein bas gai hai ek zahr-nak KHamushi

hiras KHauf bebasi

main kha raha hun pi raha hun ji raha hun kis tarah

ye narm luqma-e-ghiza

garm ghunT chae ka

kisi KHayal ke tale

jale hue lahu ke zaiqe sa munh mein jam gaya

fishaar-e-kisht-o-KHun ke baad

muztarib sukut

jaise dhaDkanon ke raste mein tham gaya

shuur-e-umr-o-zindagi simaT gaya hai karb ke jumud mein

shigaf paD gaya hai jaise dur tak wajud mein

wo kaifiyat hai

jaise ghar mein koi mar gaya ho aur

us ki lash der tak zamin par dhari rahe

koi jagah se hil ke

us ko dafn tak na kar sake

(1384) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Fasad Ke Baad In English By Famous Poet Abdul Ahad Saaz. Fasad Ke Baad is written by Abdul Ahad Saaz. Read famous Poem Fasad Ke Baad for youth and Student by Abdul Ahad Saaz. Free Download Fasad Ke Baad in PDF.