KHairaat Sirf Itni Mili Hai Hayat Se

KHairaat sirf itni mili hai hayat se

pani ki bund jaise ata ho furaat se

shabnam isi junun mein azal se hai sina-kub

KHurshid kis maqam pe milta hai raat se

nagah ishq waqt se aage nikal gaya

andaza kar rahi hai KHirad waqiat se

su-e-adab na Thahre to den koi mashwara

hum mutmain nahin hain teri kaenat se

sakit rahen to hum hi Thaharte hain ba-qusur

bolen to baat baDhti hai chhoTi si baat se

aasan-pasandiyon se ijazat talab karo

rasta bhara hua hai 'adam' mushkilat se

(1175) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHairaat Sirf Itni Mili Hai Hayat Se In English By Famous Poet Abdul Hamid Adam. KHairaat Sirf Itni Mili Hai Hayat Se is written by Abdul Hamid Adam. Read famous Poem KHairaat Sirf Itni Mili Hai Hayat Se for youth and Student by Abdul Hamid Adam. Free Download KHairaat Sirf Itni Mili Hai Hayat Se in PDF.