Kabhi Dekho To Maujon Ka TaDapna Kaisa Lagta Hai

kabhi dekho to maujon ka taDapna kaisa lagta hai

ye dariya itna pani pi ke pyasa kaisa lagta hai

hum us se thoDi duri par hamesha ruk se jate hain

na jaane us se milne ka irada kaisa lagta hai

main dhire dhire un ka dushman-e-jaan banta jata hun

wo aankhen kitni qatil hain wo chehra kaisa lagta hai

zawal-e-jism ko dekho to kuchh ehsas ho is ka

bikharta zarra zarra koi sahra kaisa lagta hai

falak par uDte jate baadalon ko dekhta hun main

hawa kahti hai mujh se ye tamasha kaisa lagta hai

(1270) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kabhi Dekho To Maujon Ka TaDapna Kaisa Lagta Hai In English By Famous Poet Abdul Hamid. Kabhi Dekho To Maujon Ka TaDapna Kaisa Lagta Hai is written by Abdul Hamid. Read famous Poem Kabhi Dekho To Maujon Ka TaDapna Kaisa Lagta Hai for youth and Student by Abdul Hamid. Free Download Kabhi Dekho To Maujon Ka TaDapna Kaisa Lagta Hai in PDF.