Kisi Dasht O Dar Se Guzarna Bhi Kya

kisi dasht o dar se guzarna bhi kya

hue KHak jab to bikharna bhi kya

wahi ek samundar wahi ek hawa

meri sham tera sanwarna bhi kya

lakiron ke hain khel sab zawiye

idhar se udhar panw dharna bhi kya

mujhe ub si sab se hone lagi

ye jina bhi kya aur marna bhi kya

agar un se bach kar nikal jaiye

to phir us ki aankhon se Darna bhi kya

ghane jangalon ki bujhi kaise aag

kahin pas tha koi jharna bhi kya

kisi tarah se us ka ghar to mila

magar ab mulaqat karna bhi kya

(959) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kisi Dasht O Dar Se Guzarna Bhi Kya In English By Famous Poet Abdul Hamid. Kisi Dasht O Dar Se Guzarna Bhi Kya is written by Abdul Hamid. Read famous Poem Kisi Dasht O Dar Se Guzarna Bhi Kya for youth and Student by Abdul Hamid. Free Download Kisi Dasht O Dar Se Guzarna Bhi Kya in PDF.