Dil Apna Yaad-e-yar Se Begana To Nahin

dil apna yaad-e-yar se begana to nahin

goya ki KHali mai se ye paimana to nahin

manta hai meri baat to nazren mila ke sun

ye mera haal-e-zar hai afsana to nahin

hanste ho mil ke duniya se kya mere haal par

main aap ka diwana hun diwana to nahin

ai shama tujh ko jalna hai ab us ki aag mein

ek shoala tujh se lipTa hai parwana to nahin

danista mujh se jata hai ghairon ke samne

warna wo mere haal se begana to nahin

ai barq tujh ko dhoka hua mujh ko dekh kar

zalim qafas hai ye mera kashana to nahin

taskin-e-KHulq-e-saqi ko pita hun main sharab

meri nazar mein saqi hai paimana to nahin

pas-e-adab hai kya uThe aankh is ke ru-ba-ru

is mein sawal-e-jurat-e-rindana to nahin

jhukte hain us ko har jagah maujud pa ke 'soz'

dil mein hamare kaba-o-but-KHana to nahin

(1119) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Apna Yaad-e-yar Se Begana To Nahin In English By Famous Poet Abdul Malik Soz. Dil Apna Yaad-e-yar Se Begana To Nahin is written by Abdul Malik Soz. Read famous Poem Dil Apna Yaad-e-yar Se Begana To Nahin for youth and Student by Abdul Malik Soz. Free Download Dil Apna Yaad-e-yar Se Begana To Nahin in PDF.