Gali Se Teri Jo Ki Ai Jaan Nikla

gali se teri jo ki ai jaan nikla

gareban se dast-o-gareban nikla

teri aan pe ghash hun har aan zalim

to ek aan lekin na yan aan nikla

yahi mujh ko rah rah ke aata hai arman

ki tujh se na kuchh mera arman nikla

meri aah-e-atish-fishan dekhti hai

liye ghar se har aan quran nikla

meri jaan shart-e-rifaqat nahin ye

nikal jaan tu bhi ki paikan nikla

kiya main ne mujra to jhunjhla ke bola

kahan ka mera jaan pahchan nikla

ajab be-baha hai mera ashk yaro

ye kam-baKHt laDka to tufan nikla

mujhe shaiKH ulfat se mane hai 'ehsan'

wali jis ko samjha tha shaitan nikla

(865) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gali Se Teri Jo Ki Ai Jaan Nikla In English By Famous Poet Abdul Rahman Ehsan Dehlvi. Gali Se Teri Jo Ki Ai Jaan Nikla is written by Abdul Rahman Ehsan Dehlvi. Read famous Poem Gali Se Teri Jo Ki Ai Jaan Nikla for youth and Student by Abdul Rahman Ehsan Dehlvi. Free Download Gali Se Teri Jo Ki Ai Jaan Nikla in PDF.