Ghair Ke Dil Pe Tu Ai Yar Ye Kya Bandhe Hai

ghair ke dil pe tu ai yar ye kya bandhe hai

hai wo ek baad-farosh aur hawa bandhe hai

bul-hawas jama-e-uryani-e-ushshaq ko dekh

tu gareban se kyun apna gala bandhe hai

yun sharar chhiDti hain jaise ki hawai hai chhuTi

ek saman aah meri ta-ba-sama bandhe hai

dil-e-sar-gashta bhi to ek bala mein hai phansa

kabhi kholi hai kabhu zulf-e-dota bandhe hai

ye to tujh se na hua aawe shab-e-tar mein yar

tar shikwon hi ka tu subh-o-masa bandhe hai

dekh kar toDa gale ka koi dil deta hai

munDchara-pan se tu kyun apna gala bandhe hai

bewafa manda ki rakkhi to na tujh pas rahun

kya karun panw mera dast-e-wafa bandhe hai

naf-e-ahu mein na kis tarah se ja kar wo chhupe

mushk ki mushkin teri zulf-e-rasa bandhe hai

ek jhagaDalu ki duKHtar pe hua hai aashiq

dil mera jaan ke jhagDe ki bina bandhe hai

jab jafa se teri hota hun KHafa ghusse se

TukTuki meri taraf mehr-e-wafa bandhe hai

jab kaha main ne ki juDe ko meri jaan tu bandh

band mahram ke main bandhunga tu kya bandhe hai

khol kar baalon ko aashufta-o-barham ho kar

tere kahne se kaha meri bala bandhe hai

sahl ye taur hai 'ehsan' ghazal ek aur bhi likh

hai khula sab pe tu mazmun bandha bandhe hai

(1037) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghair Ke Dil Pe Tu Ai Yar Ye Kya Bandhe Hai In English By Famous Poet Abdul Rahman Ehsan Dehlvi. Ghair Ke Dil Pe Tu Ai Yar Ye Kya Bandhe Hai is written by Abdul Rahman Ehsan Dehlvi. Read famous Poem Ghair Ke Dil Pe Tu Ai Yar Ye Kya Bandhe Hai for youth and Student by Abdul Rahman Ehsan Dehlvi. Free Download Ghair Ke Dil Pe Tu Ai Yar Ye Kya Bandhe Hai in PDF.