Gham Yan To Bika Hua KhaDa Hai

gham yan to bika hua khaDa hai

fidwi hai fida hua khaDa hai

hilta nahin tere dar se ye ishq

muddat se mila hua khaDa hai

KHunin-kafan-e-shahid-e-ulfat

dulha sa bana hua khaDa hai

Tuk gosha-e-chashm idhar bhi koi

kone se laga hua khaDa hai

daman ka hai gher gird-e-jaanan

kyun ji wo ghira hua khaDa hai

yun dil ko baghal mein main ne pala

ye mujh pe pila hua khaDa hai

kya samjhe namaz-e-ishq naseh

qible se bhara hua khaDa hai

mujre ko tumhaare abruon ke

mehrab jhuka hua khaDa hai

mizan nahin milti meri us ki

ghussa mein pila hua khaDa hai

ghar se to nikal ki dar pe 'ehsan'

kya gham mein ghira hua khaDa hai

palkon se giri hai ashk Tap Tap

paT se wo laga hua khaDa hai

(930) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gham Yan To Bika Hua KhaDa Hai In English By Famous Poet Abdul Rahman Ehsan Dehlvi. Gham Yan To Bika Hua KhaDa Hai is written by Abdul Rahman Ehsan Dehlvi. Read famous Poem Gham Yan To Bika Hua KhaDa Hai for youth and Student by Abdul Rahman Ehsan Dehlvi. Free Download Gham Yan To Bika Hua KhaDa Hai in PDF.