Har Aan Jalwa Nai Aan Se Hai Aane Ka

har aan jalwa nai aan se hai aane ka

chalan ye chalte ho aashiq ki jaan jaane ka

qasam qadam ki tere jab talak hai dam mein dam

main panw par se tere sar nahin uThane ka

hamari jaan pe girti hai barq-e-gham zalim

tujhe to sahl sa hai shaghl muskurane ka

qasam KHuda ki main kuchh kha ke so rahunga sanam

jo sath apne nahin mujh ko tu sulane ka

nasib us ke sharab-e-bahisht howe mudam

hua hai jo koi mujid sharab-KHane ka

bahut se KHun-KHarabe machenge KHana-KHarab

yahi hai rang agar tere pan khane ka

hamari chhati pe phirta hai sanp yan 'ehsan'

wahan hai shaghl use zulf ke banane ka

(955) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Aan Jalwa Nai Aan Se Hai Aane Ka In English By Famous Poet Abdul Rahman Ehsan Dehlvi. Har Aan Jalwa Nai Aan Se Hai Aane Ka is written by Abdul Rahman Ehsan Dehlvi. Read famous Poem Har Aan Jalwa Nai Aan Se Hai Aane Ka for youth and Student by Abdul Rahman Ehsan Dehlvi. Free Download Har Aan Jalwa Nai Aan Se Hai Aane Ka in PDF.