Jaan Apni Chali Jae He Jae Se Kasu Ki

jaan apni chali jae he jae se kasu ki

aur jaan mein jaan aae hai aae se kasu ki

wo aag lagi pan chabae se kasu ki

ab tak nahin bujhti hai bujhae se kasu ki

bujhne de zara aatish-e-dil aur na bhaDka

mehndi na laga yar lagae se kasu ki

kya soiye phir ghul hai dar-e-yar pe shayad

chaunka hai wo zanjir hilae se kasu ki

kah do na uThae wo mujhe pas se apni

ji baiTha hi jata hai uThae se kasu ki

jab main ne kaha aaiye man jaiye bole

hum aur bhi ruThenge manae se kasu ki

chuppi mein jo kuchh baat ki main ne to ye bole

hum to nahin dabne ke dabae se kasu ki

yaro na charagh aur na main shama hun lekin

har sham ko jalta hun jalae se kasu ki

pata nahin ghar us ka samajhta hi nahin hai

is bait ke mani bhi batae se kasu ki

jab us se kaha meri sifarish mein kasu ne

hasil bhi rulae se kuDhae se kasu ki

ek tan se ye hans ke laga kahne ki be-shak

hum rolte moti hain rulae se kasu ki

kahta hai ki 'ehsan' na kahega to sunega

matla ye kaha main ne kahae se kasu ki

(1120) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jaan Apni Chali Jae He Jae Se Kasu Ki In English By Famous Poet Abdul Rahman Ehsan Dehlvi. Jaan Apni Chali Jae He Jae Se Kasu Ki is written by Abdul Rahman Ehsan Dehlvi. Read famous Poem Jaan Apni Chali Jae He Jae Se Kasu Ki for youth and Student by Abdul Rahman Ehsan Dehlvi. Free Download Jaan Apni Chali Jae He Jae Se Kasu Ki in PDF.