Abhi Gunah Ka Mausam Hai Aa Shabab Mein Aa

abhi gunah ka mausam hai aa shabab mein aa

nasha utarne se pahle meri sharab mein aa

dhanak si KHwab si KHushbu si phir baras mujh par

nai ghazal ki tarah tu meri kitab mein aa

uTha na der tak ehsan mausam-e-gul ka

main zindagi hun mujhe ji mere azab mein aa

wo mere lab ke parinde wo tera jhil-badan

bujha na pyas meri tu magar sarab mein aa

tere dariche se hai dur mera darwaza

agar tu dard hai mera to dil ke bab mein aa

main tujh ko jagti aankhon se chhu sakun na kabhi

meri ana ka bharam rakh le mere KHwab mein aa

(1436) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Abhi Gunah Ka Mausam Hai Aa Shabab Mein Aa In English By Famous Poet Abdullah Kamal. Abhi Gunah Ka Mausam Hai Aa Shabab Mein Aa is written by Abdullah Kamal. Read famous Poem Abhi Gunah Ka Mausam Hai Aa Shabab Mein Aa for youth and Student by Abdullah Kamal. Free Download Abhi Gunah Ka Mausam Hai Aa Shabab Mein Aa in PDF.