KHush-shanasi Ka Sila Karb Ka Sahra Hun Main

KHush-shanasi ka sila karb ka sahra hun main

kaun pahchane ki ek dasht-e-tamanna hun main

sard pani ki zaban chaTti rahti hai mujhe

kohar mein Duba hua koi jazira hun main

apni viran si aankhon ko saja lo mujh se

phir na hath aaunga uDta hun sapna hun main

bhul jaoge mujhe tum bhi sahar hone tak

aaKHir-e-shab ka koi TuTta lamha hun main

TuTa-phuTa hi sahi phir bhi kashish rakhta hun

mujh se mahzuz to ho lo ki khilauna hun main

ek dushnam hai ye tarz-e-taaruf mujh ko

yaro is shahr ka derina shanasa hun main

(1320) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHush-shanasi Ka Sila Karb Ka Sahra Hun Main In English By Famous Poet Abdullah Kamal. KHush-shanasi Ka Sila Karb Ka Sahra Hun Main is written by Abdullah Kamal. Read famous Poem KHush-shanasi Ka Sila Karb Ka Sahra Hun Main for youth and Student by Abdullah Kamal. Free Download KHush-shanasi Ka Sila Karb Ka Sahra Hun Main in PDF.