Panchhiyon Ke Ru-ba-ru Kya Zikr-e-nadari Karun

panchhiyon ke ru-ba-ru kya zikr-e-nadari karun

pankh TuTe hi sahi uDne ki tayyari karun

chhoD jaun apne pichhe aalam-e-hairat tamam

maut ke pahlu mein chhup kar shoabada-kari karun

nachti hai jumbish-e-angusht par wo fahisha

zindagi kah kar jise KHud se riya-kari karun

sabz paudon ki taraf baDhne lagi sarkash hawa

us ke kapDe noch lun thoDi gunah-gari karun

nannhi-munni konpalon ko rang-o-nikhat chahiye

kuchh hawa ka KHauf kuchh mausam ki dildari karun

gungunate shoKH panchhi lahlahati khetiyan

nit-nae KHwabon se nam aankhon mein gul-kari karun

marsiya apna sunaun shahr-e-na-pursan ke beach

pattharon se aur kya ummid-e-gham-KHwari karun

(1285) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Panchhiyon Ke Ru-ba-ru Kya Zikr-e-nadari Karun In English By Famous Poet Abdur Rahim Nashtar. Panchhiyon Ke Ru-ba-ru Kya Zikr-e-nadari Karun is written by Abdur Rahim Nashtar. Read famous Poem Panchhiyon Ke Ru-ba-ru Kya Zikr-e-nadari Karun for youth and Student by Abdur Rahim Nashtar. Free Download Panchhiyon Ke Ru-ba-ru Kya Zikr-e-nadari Karun in PDF.