Phir Ek Nae Safar Pe Chala Hun Makan Se

phir ek nae safar pe chala hun makan se

koi pukarta hai mujhe aasman se

aawaz de raha hai akela KHuda mujhe

main us ko sun raha hun hawaon ke kan se

kuchh din to be-ghari ka tamasha bhi dekh lun

yun bhi hai ji uchaT purane makan se

donon hi ham-safar the hawaon ke dosh par

par main hun chur chur safar ki takan se

pairon tale dabi hai wahi ret ki chaTan

mujh ko hawa ne phenk diya aasman se

wo zad pe aa gaya tha nihatta bhi tha magar

main ne hi koi tir na chhoDa kaman se

mere labon pe khel rahi hai wahi hansi

har-chand ret ret hua hun chaTan se

(1031) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Phir Ek Nae Safar Pe Chala Hun Makan Se In English By Famous Poet Abdur Rahim Nashtar. Phir Ek Nae Safar Pe Chala Hun Makan Se is written by Abdur Rahim Nashtar. Read famous Poem Phir Ek Nae Safar Pe Chala Hun Makan Se for youth and Student by Abdur Rahim Nashtar. Free Download Phir Ek Nae Safar Pe Chala Hun Makan Se in PDF.