Apni Kami Se Puchh Na Uski Kami Se Puchh

apni kami se puchh na us ki kami se puchh

ismat ka bhaw jism ki bechaargi se puchh

ghaaron mein rahne walon ki shaistagi ka qad

saDkon pe raqs karti hui aagahi se puchh

mujh mein ye intishaar ye nafrat hai kis liye

guzre hue samaj ki diwangi se puchh

Dali se chhuT jaane ka anjam kya hua

barg-e-KHizan-rasida ki aawargi se puchh

ashkon mein iltijaon mein taqat nahin hai kyun

zehnon pe raj karti hui be-hisi se puchh

khulne ke intizar mein jo zard ho gai

rang-e-suluk baad-e-saba us kali se puchh

bandon ke silsile mein bahut tu ne kah liya

allah apne bare mein kuchh aadmi se puchh

(876) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Apni Kami Se Puchh Na Uski Kami Se Puchh In English By Famous Poet Abid Akhtar. Apni Kami Se Puchh Na Uski Kami Se Puchh is written by Abid Akhtar. Read famous Poem Apni Kami Se Puchh Na Uski Kami Se Puchh for youth and Student by Abid Akhtar. Free Download Apni Kami Se Puchh Na Uski Kami Se Puchh in PDF.