Na Karb-e-hijr Na Kaiffiyat-e-visal Mein Hun

na karb-e-hijr na kaiffiyat-e-visal mein hun

mujhe na chheDiye ab main ajib haal mein hun

tamam rang-e-ibarat mein soz-e-jaan se mere

main husn-e-zat hun aur manzil-e-jamal mein hun

mera wajud zarurat hai har zamane ki

main raushni ki tarah zehn-e-mah-o-sal mein hun

abhi wasil-e-izhaar DhunDhti hai nigah

abhi sawal kahan hasrat-e-sawal mein hun

mujhe na dekh meri zat se alag kar ke

main jo bhi kuchh hun faqat apne KHadd-o-KHal mein hun

main ji raha hun ye mera kamal hai 'hashri'

main apne ahd ki tahzib ke zawal mein hun

(957) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Karb-e-hijr Na Kaiffiyat-e-visal Mein Hun In English By Famous Poet Abid Hashri. Na Karb-e-hijr Na Kaiffiyat-e-visal Mein Hun is written by Abid Hashri. Read famous Poem Na Karb-e-hijr Na Kaiffiyat-e-visal Mein Hun for youth and Student by Abid Hashri. Free Download Na Karb-e-hijr Na Kaiffiyat-e-visal Mein Hun in PDF.