Shyam Gokul Na Jaana Ki Radha Ka Ji Ab Na Bansi Ki Tanon Pe Lahraega

shyam gokul na jaana ki radha ka ji ab na bansi ki tanon pe lahraega

kis ko fursat gham-e-zindagi se yahan kaun be-waqt ke rag sun paega

us gali se chali dard ki rau magar shahr mein ahl-e-dil hain na ahl-e-nazar

jaane kis sar se guzregi ye mauj-e-KHun jaane kis ghar ye sailab-e-gham jaega

zulmat-e-gham se itne hirasan na ho kaun mushkil hai yaro jo aasan na ho

ye garan-KHwab lamhe bhi kaT jaenge raat Dhal jaegi din nikal aaega

har nafas har qadam har nae moD par waqt ek zaKHm-e-nau de raha hai magar

waqt KHud apne zaKHmon ka marham bhi hai waqt ke sath har zaKHm bhar jaega

kis lagan kis tamanna se kis chaw se mausam-e-rang-o-nikhat ko di thi sada

kya KHabar thi ki abr-e-bahaar-afrin aag ke phul gulshan pe barsaega

tere gham ke charaghon ki sad-rang zau ek kiran de sakegi na ehsas ko

bazm-e-jaan itni sunsan ho jaegi shahr-e-dil itna viran ho jaega

(1167) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shyam Gokul Na Jaana Ki Radha Ka Ji Ab Na Bansi Ki Tanon Pe Lahraega In English By Famous Poet Abid Hashri. Shyam Gokul Na Jaana Ki Radha Ka Ji Ab Na Bansi Ki Tanon Pe Lahraega is written by Abid Hashri. Read famous Poem Shyam Gokul Na Jaana Ki Radha Ka Ji Ab Na Bansi Ki Tanon Pe Lahraega for youth and Student by Abid Hashri. Free Download Shyam Gokul Na Jaana Ki Radha Ka Ji Ab Na Bansi Ki Tanon Pe Lahraega in PDF.