Ye Bhi To Kamal Ho Gaya Hai

ye bhi to kamal ho gaya hai

zahir wo jamal ho gaya hai

jis kaam mein hum ne hath Dala

wo kaam muhaal ho gaya hai

guzri hui umar ka har ek pal

minnat-kash-e-haal ho gaya hai

dil kaun sa taza-dam tha pahle

ab aur niDhaal ho gaya hai

kuchh roz jo din phire hain apne

wo shamil-e-haal ho gaya hai

jo KHwab se KHun se kamaya

wo muft ka mal ho gaya hai

ye dekh ki tere samne kaun

sar-ta-pa sawal ho gaya hai

ai KHauf-e-zawal tere hathon

sab ru-ba-zawal ho gaya hai

(839) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Bhi To Kamal Ho Gaya Hai In English By Famous Poet Abrar Ahmad. Ye Bhi To Kamal Ho Gaya Hai is written by Abrar Ahmad. Read famous Poem Ye Bhi To Kamal Ho Gaya Hai for youth and Student by Abrar Ahmad. Free Download Ye Bhi To Kamal Ho Gaya Hai in PDF.