Gulon Si Guftugu Karen Qayamaton Ke Darmiyan

gulon si guftugu karen qayamaton ke darmiyan

hum aise log ab milen hikayaton ke darmiyan

lahuluhan ungliyan hain aur chup khaDi hun main

gul o saman ki be-panah chahaton ke darmiyan

hatheliyon ki oT hi charagh le chalun abhi

abhi sahar ka zikr hai riwayaton ke darmiyan

jo dil mein thi nigah si nigah mein kiran si thi

wo dastan ulajh gai wazahaton ke darmiyan

sahifa-e-hayat mein jahan jahan likhi gai

likhi gai hadis-e-jaan jarahaton ke darmiyan

koi nagar koi gali shajar ki chhanw hi sahi

ye zindagi na kaT sake masafaton ke darmiyan

ab us ke KHal-o-KHad ka rang mujh se puchhna abas

nigah jhapak jhapak gai iradaton ke darmiyan

saba ka hath tham kar 'ada' na chal sakogi tum

tamam umr KHwab KHwab saaton ke darmiyan

(796) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gulon Si Guftugu Karen Qayamaton Ke Darmiyan In English By Famous Poet Ada Jafri. Gulon Si Guftugu Karen Qayamaton Ke Darmiyan is written by Ada Jafri. Read famous Poem Gulon Si Guftugu Karen Qayamaton Ke Darmiyan for youth and Student by Ada Jafri. Free Download Gulon Si Guftugu Karen Qayamaton Ke Darmiyan in PDF.