KHamushi Se Hui Fughan Se Hui

KHamushi se hui fughan se hui

ibtida ranj ki kahan se hui

koi tair idhar nahin aata

kaisi taqsir is makan se hui

mausamon par yaqin kyun chhoDa

bad-gumani to saeban se hui

be-nihayat samundaron ka safar

guftugu sirf baadban se hui

ye jo uljhi hui kahani hai

mo'tabar harf-e-raegan se hui

dil ki aabaadiyon ko puchho ho

raushni barq-e-be-aman se hui

tishnagi bebasi lab-e-dariya

meri pahchan hi wahan se hui

itni ujli na thi ye rahguzar

naqsh-e-pa-e-bala-kashan se hui

(757) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHamushi Se Hui Fughan Se Hui In English By Famous Poet Ada Jafri. KHamushi Se Hui Fughan Se Hui is written by Ada Jafri. Read famous Poem KHamushi Se Hui Fughan Se Hui for youth and Student by Ada Jafri. Free Download KHamushi Se Hui Fughan Se Hui in PDF.