Roz-o-shab Ki Koi Surat To Bana Kar Rakhkhun

roz-o-shab ki koi surat to bana kar rakhkhun

kisi lahje kisi aahaT ko saja kar rakhkhun

koi aansu sa ujala koi mahtab si yaad

ye KHazine hain inhen sab se chhupa kar rakhkhun

shor itna hai ki kuchh kah na sakungi us se

ab ye socha hai nigahon ko daba kar rakhkhun

aandhiyan haar gain jab tu KHayal aaya hai

phul ko tund hawaon se bacha kar rakhkhun

mere aanchal mein sitare hi sitare hain 'ada'

ye jo sadiyan hain judai ki saja kar rakhkhun

(819) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Roz-o-shab Ki Koi Surat To Bana Kar Rakhkhun In English By Famous Poet Ada Jafri. Roz-o-shab Ki Koi Surat To Bana Kar Rakhkhun is written by Ada Jafri. Read famous Poem Roz-o-shab Ki Koi Surat To Bana Kar Rakhkhun for youth and Student by Ada Jafri. Free Download Roz-o-shab Ki Koi Surat To Bana Kar Rakhkhun in PDF.