Harim-e-dil Se Nikal Aankh Ke Sarab Mein Aa

harim-e-dil se nikal aankh ke sarab mein aa

meri tarah kabhi maidan-e-iztirab mein aa

payambaron ki zabani kahi suni hum ne

wo kah raha tha ki mere bhi intiKHab mein aa

suna hai aaj amari falak se utregi

mujhe bhi nind gar aae to mere KHwab mein aa

tujhe KHudai ka dawa hai gar to kam se kam

zamin par koi din rang-e-bu-turab mein aa

abhi hain sare sawalat tishna-kaam mere

uTha ke kandhe pe mina mere jawab mein aa

utar di hain bhanwar mein bhi kashtiyan hum ne

samundaron mein agar hai to is habab mein aa

(691) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Harim-e-dil Se Nikal Aankh Ke Sarab Mein Aa In English By Famous Poet Afeef Siraj. Harim-e-dil Se Nikal Aankh Ke Sarab Mein Aa is written by Afeef Siraj. Read famous Poem Harim-e-dil Se Nikal Aankh Ke Sarab Mein Aa for youth and Student by Afeef Siraj. Free Download Harim-e-dil Se Nikal Aankh Ke Sarab Mein Aa in PDF.