Hum Ahl-e-nazara Sham-o-sahar Aankhon Ko Fidya Karte Hain

hum ahl-e-nazara sham-o-sahar aankhon ko fidya karte hain

hum jalwa jalwa kahte hain wo parda parda karte hain

ai naseh tu kya kahta hai wo aajiz hai mai-noshi se

le toD rahe hain saghar ko hum aaj hi tauba karte hain

sarkar ka hai bazar bhi kya har jins KHaridi jati hai

bech aae sab iman dharam hum sar ka sauda karte hain

jab hum ne zaban kholi apni maslub hue maqtul hue

ye dekhiye hum KHamosh hue sab mera charcha karte hain

ye kunj-e-qafas ye aah-o-buka ye ranj-o-alam hain mere liye

kya baat hui mil kar hum se kyunkar wo girya girte hain

wo dil apna bahlate hain is sham-o-sahar ke khel mein hum

har subh dabaate hain jazbe har sham wo fitna karte hain

jab baat wafa ki aati hai jab manzar rang badalta hai

aur baat bigaDne lagti hai wo phir ek wada karte hain

(670) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hum Ahl-e-nazara Sham-o-sahar Aankhon Ko Fidya Karte Hain In English By Famous Poet Afeef Siraj. Hum Ahl-e-nazara Sham-o-sahar Aankhon Ko Fidya Karte Hain is written by Afeef Siraj. Read famous Poem Hum Ahl-e-nazara Sham-o-sahar Aankhon Ko Fidya Karte Hain for youth and Student by Afeef Siraj. Free Download Hum Ahl-e-nazara Sham-o-sahar Aankhon Ko Fidya Karte Hain in PDF.