Mere Junun-e-shauq Ko Itni Si Kaenat Bas

mere junun-e-shauq ko itni si kaenat bas

kar-e-daraaz ke liye chhoTi si ye hayat bas

kaisi hain aazmaishen kaisa ye imtihan hai

mere junun ke waste hijr ki ek raat bas

wo hai jamal-e-be-karan qaidi-e-rang hai nazar

dida-e-shauq dekh le aaina-e-sifat bas

sare jahan ki tohmaten lag chukin hum pe shahr mein

dije na ab safaiyan kije na hum se baat bas

hur-o-qusur-o-mai sabhi ahl-e-safa ke waste

mujrim-e-ishq ke liye wada-e-yak-najat bas

(664) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mere Junun-e-shauq Ko Itni Si Kaenat Bas In English By Famous Poet Afeef Siraj. Mere Junun-e-shauq Ko Itni Si Kaenat Bas is written by Afeef Siraj. Read famous Poem Mere Junun-e-shauq Ko Itni Si Kaenat Bas for youth and Student by Afeef Siraj. Free Download Mere Junun-e-shauq Ko Itni Si Kaenat Bas in PDF.