Karta Kuchh Aur Hai Wo Dikhata Kuchh Aur Hai

karta kuchh aur hai wo dikhata kuchh aur hai

dar-asl silsila pas-e-parda kuchh aur hai

har-dam taghayyuraat ki zad mein hai kaenat

dekhen palak jhapak ke to naqsha kuchh aur hai

jo kuchh nigah mein hai haqiqat mein wo nahin

jo tere samne hai tamasha kuchh aur hai

rakh wadi-e-junun mein qadam phunk phunk kar

ai be-KHabar sambhal ki ye rishta kuchh aur hai

tahrir aur kuchh hai sar-e-matn-e-zindagi

aur hashiye mein hai jo hawala kuchh aur hai

har-chand dil dhaDakta hai pal pal ghaDi ghaDi

lekin jo aaj dil ko hai dhaDka kuchh aur hai

itni bhi ehtiyat na kar jaan 'aftab'

KHadshe kuchh aur hote hain hota kuchh aur hai

(1019) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Karta Kuchh Aur Hai Wo Dikhata Kuchh Aur Hai In English By Famous Poet Aftab Hussain. Karta Kuchh Aur Hai Wo Dikhata Kuchh Aur Hai is written by Aftab Hussain. Read famous Poem Karta Kuchh Aur Hai Wo Dikhata Kuchh Aur Hai for youth and Student by Aftab Hussain. Free Download Karta Kuchh Aur Hai Wo Dikhata Kuchh Aur Hai in PDF.