Kisi Nazar Ne Mujhe Jam Par Lagaya Hua Hai

kisi nazar ne mujhe jam par lagaya hua hai

so karta rahta hun jis kaam par lagaya hua hai

ghalat paDe na kahin pahla hi qadam ye hamara

ki hum ne aankh ko anjam par lagaya hua hai

tamam shahr musharif-ba-kufr ho ke rahega

ye jis qimash ke islam par lagaya hua hai

laga rakhe hain hazaron hi apne kaam par us ne

hamein bhi koshish-e-nakaam par lagaya hua hai

pilata rahta hun din-raat apni aankh se pani

shajar ye dil mein tere nam par lagaya hua hai

wo aur honge jo aaram se guzar rahe hain

hamein to us ne kahin lam par lagaya hua hai

(785) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kisi Nazar Ne Mujhe Jam Par Lagaya Hua Hai In English By Famous Poet Aftab Hussain. Kisi Nazar Ne Mujhe Jam Par Lagaya Hua Hai is written by Aftab Hussain. Read famous Poem Kisi Nazar Ne Mujhe Jam Par Lagaya Hua Hai for youth and Student by Aftab Hussain. Free Download Kisi Nazar Ne Mujhe Jam Par Lagaya Hua Hai in PDF.