Kisi Tarah Bhi To Wo Rah Par Nahin Aaya

kisi tarah bhi to wo rah par nahin aaya

hamare kaam hamara hunar nahin aaya

wo yun mila tha ki jaise kabhi na bichhDega

wo yun gaya ki kabhi lauT kar nahin aaya

hum aap apna muqaddar sanwar lete magar

hamare hath kaf-e-kuza-gar nahin aaya

KHabar to thi ki maal-e-safar hai kya lekin

KHayal-e-tark-e-safar umr bhar nahin aaya

main apni aankh ke rauzan se dekh sakta hun

wo phul bhi jo abhi shaKH par nahin aaya

abhi dilon ki tanabon mein saKHtiyan hain bahut

abhi hamari dua mein asar nahin aaya

(814) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kisi Tarah Bhi To Wo Rah Par Nahin Aaya In English By Famous Poet Aftab Hussain. Kisi Tarah Bhi To Wo Rah Par Nahin Aaya is written by Aftab Hussain. Read famous Poem Kisi Tarah Bhi To Wo Rah Par Nahin Aaya for youth and Student by Aftab Hussain. Free Download Kisi Tarah Bhi To Wo Rah Par Nahin Aaya in PDF.